kam purānā bahut nayā thā firāq
ik ajab ramz-āshnā thā firāq
duur vo kab huā nigāhoñ se
dhaḌkanoñ meñ basā huā hai firāq
shām-e-ġham ke sulagte sahrā meñ
ik umañDtī huī ghaTā thā firāq
amn thā pyaar thā mohabbat thā
rañg thā nuur thā navā thā firāq
fāsle nafratoñ ke miT jaa.eñ
pyaar hī pyaar sochtā thā firāq
ham se rañj-o-alam ke māroñ ko
kis mohabbat se dekhtā thā firāq
ishq insāniyat se thā us ko
har ta.assub se māvarā thā firāq
kam purana bahut naya tha firaq
ek ajab ramz-ashna tha firaq
dur wo kab hua nigahon se
dhaDkanon mein basa hua hai firaq
sham-e-gham ke sulagte sahra mein
ek umanDti hui ghaTa tha firaq
amn tha pyar tha mohabbat tha
rang tha nur tha nawa tha firaq
fasle nafraton ke miT jaen
pyar hi pyar sochta tha firaq
hum se ranj-o-alam ke maron ko
kis mohabbat se dekhta tha firaq
ishq insaniyat se tha us ko
har tassub se mawara tha firaq
Source: Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 328) Author : Habib Jalib Publication : Tahir Sons Publishers (2012) Edition : 2012
Leave a comment