Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Sahar

  • Ghazal


jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya


jab ek ḳhauf sā marne kā sar pe baiTh gayā
ajiib saaya nahūsat kā ghar pe baiTh gayā

yahī kahānī thī bas apnī bādshāhat kī
faqīr ek uThā ek dar pe baiTh gayā

kahīñ to shahr meñ an-ban kisī ke saath huī
jo duniyā chhoḌ ke saarī vo ghar pe baiTh gayā

takallufāt meñ kuchh to lihāz baaqī thā
zarā sī Dhiil bhī kyā dī vo sar pe baiTh gayā

kisī kī jhūTī uḌaa.ī huī sī baat sunī
zamāna kaan lagā kar ḳhabar pe baiTh gayā

savār ham hue aise havā ke kāñdhe par
hamārā paañv bhī jaise safar pe baiTh gayā

jab ek KHauf sa marne ka sar pe baiTh gaya
ajib saya nahusat ka ghar pe baiTh gaya

yahi kahani thi bas apni baadshahat ki
faqir ek uTha ek dar pe baiTh gaya

kahin to shahr mein an-ban kisi ke sath hui
jo duniya chhoD ke sari wo ghar pe baiTh gaya

takallufat mein kuchh to lihaz baqi tha
zara si Dhil bhi kya di wo sar pe baiTh gaya

kisi ki jhuTi uDai hui si baat suni
zamana kan laga kar KHabar pe baiTh gaya

sawar hum hue aise hawa ke kandhe par
hamara panw bhi jaise safar pe baiTh gaya


Leave a comment

+