aag hai phailī huī kaalī ghaTāoñ kī jagah
bad-duā.eñ haiñ laboñ par ab duāoñ kī jagah
intiḳhāb-e-ahl-e-gulshan par bahut rotā hai dil
dekh kar zāġh-o-zaġhan ko ḳhushnavāoñ kī jagah
kuchh bhī hotā par na hote pāra-pāra jism-o-jāñ
rāhzan hote agar un rahnumāoñ kī jagah
luT ga.ī is daur meñ ahl-e-qalam kī aabrū
bik rahe haiñ ab sahāfī be-savāoñ kī jagah
kuchh to aatā ham ko bhī jaañ se guzarne kā maza
ġhair hote kaash 'jālib' āshnāoñ kī jagah
aag hai phaili hui kali ghaTaon ki jagah
bad-duaen hain labon par ab duaon ki jagah
intiKHab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil
dekh kar zagh-o-zaghan ko KHushnawaon ki jagah
kuchh bhi hota par na hote para-para jism-o-jaan
rahzan hote agar un rahnumaon ki jagah
luT gai is daur mein ahl-e-qalam ki aabru
bik rahe hain ab sahafi be-sawaon ki jagah
kuchh to aata hum ko bhi jaan se guzarne ka maza
ghair hote kash 'jalib' aashnaon ki jagah
Source: Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 171) Author : Habib Jalib Publication : Tahir Sons Publishers (2012) Edition : 2012
Leave a comment