qat.a hotā rahe is tarah bayān-e-vā.iz
ek hī baat meñ ho band zabān-e-vā.iz
turfa-āfat meñ phañsī aatī hai jān-e-vā.iz
kaun mai-ḳhāna meñ thā martaba-dān-e-vā.iz
kyuuñ na mīnā-e-mai-e-nāb paTak duuñ sar par
aish jab talḳh ho sun sun ke bayān-e-vā.iz
is tarah pand-o-nasīhat kī uThā.ī tamhīd
aaj saaqī pe huā mujh ko gumān-e-vā.iz
tezī-e-bāda kujā talḳhī-e-guftār kujā
kund hai nashtar-e-sāqī se sinān-e-vā.iz
fasl-e-gul aate hī mai-ḳhāna meñ ik bhiiḌ huī
na sunī ek bhī rindoñ ne fuġhān-e-vā.iz
phir dar-e-pīr-e-ḳharābāt pe baiThā hai 'habīb'
ye to aayā thā abhī sun ke bayān-e-vā.iz
qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz
ek hi baat mein ho band zaban-e-waiz
turfa-afat mein phansi aati hai jaan-e-waiz
kaun mai-KHana mein tha martaba-dan-e-waiz
kyun na mina-e-mai-e-nab paTak dun sar par
aish jab talKH ho sun sun ke bayan-e-waiz
is tarah pand-o-nasihat ki uThai tamhid
aaj saqi pe hua mujh ko guman-e-waiz
tezi-e-baada kuja talKHi-e-guftar kuja
kund hai nashtar-e-saqi se sinan-e-waiz
fasl-e-gul aate hi mai-KHana mein ek bhiD hui
na suni ek bhi rindon ne fughan-e-waiz
phir dar-e-pir-e-KHarabaat pe baiTha hai 'habib'
ye to aaya tha abhi sun ke bayan-e-waiz
Source: Deewan-e-habeeb
Leave a comment