chal nahīñ sakte vahāñ zehn-e-rasā ke joḌ-toḌ
un kī chāleñ haiñ qayāmat kī balā ke joḌ-toḌ
hai nazar-andāz koī koī manzūr-e-nazar
dekhnā us but kī chashm-e-fitna-zā ke joḌ-toḌ
kaj-adā.ī baat hai jis kī lagāvaT khel hai
siikh le us fitna-gar se koī aa ke joḌ-toḌ
pā ke qaabū karte haiñ ahl-e-ġharaz kyā dāñv-ghāt
chalte haiñ matlab kī chāleñ mudda.ā ke joḌ-toḌ
dost ban kar karte haiñ nekī ke parde meñ badī
rāj-niyyat ye hai dekho aġhniyā ke joḌ-toḌ
saḳhtiyāñ ustād haiñ insāñ kī duniyā meñ 'habīb'
karte haiñ maġhlūb ko ġhālib sikhā ke joḌ-toḌ
chal nahin sakte wahan zehn-e-rasa ke joD-toD
un ki chaalen hain qayamat ki bala ke joD-toD
hai nazar-andaz koi koi manzur-e-nazar
dekhna us but ki chashm-e-fitna-za ke joD-toD
kaj-adai baat hai jis ki lagawaT khel hai
sikh le us fitna-gar se koi aa ke joD-toD
pa ke qabu karte hain ahl-e-gharaz kya danw-ghat
chalte hain matlab ki chaalen muddaa ke joD-toD
dost ban kar karte hain neki ke parde mein badi
raj-niyyat ye hai dekho aghniya ke joD-toD
saKHtiyan ustad hain insan ki duniya mein 'habib'
karte hain maghlub ko ghaalib sikha ke joD-toD
Source: Deewan-e-habeeb
Leave a comment