Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Kaifi

  • Ghazal


jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai


jo milne aatā hai mil kar judā bhī hotā hai
vo ḳhush-mizāj hai lekin ḳhafā bhī hotā hai

vo bhuul baiThe nasha kar ke apnī daulat kā
nasha koī bhī ho ik din huā bhī hotā hai

kabhī kabhī hī sahī jeb bhārī hotī hai
kabhī kabhī to ye banda ḳhudā bhī hotā hai

maiñ is hasīn ko ye baat kaise samjhā.ūñ
jo behtarīn hai us se sivā bhī hotā hai

tumhārī baat kā maiñ ne burā kahāñ maanā
jo apnā hotā hai us se gilā bhī hotā hai

kisī marīz se kahnā ki aap achchhe haiñ
ye baat kahne kā matlab davā bhī hotā hai

ye baat mere sivā jāntā nahīñ koī
ki us kī baat meñ gahrā nasha bhī hotā hai

kabhī jo gāliyāñ de maañ to ye samajh lenā
ki us kī gaalī kā matlab duā bhī hotā hai

jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai
wo KHush-mizaj hai lekin KHafa bhi hota hai

wo bhul baiThe nasha kar ke apni daulat ka
nasha koi bhi ho ek din hua bhi hota hai

kabhi kabhi hi sahi jeb bhaari hoti hai
kabhi kabhi to ye banda KHuda bhi hota hai

main is hasin ko ye baat kaise samjhaun
jo behtarin hai us se siwa bhi hota hai

tumhaari baat ka main ne bura kahan mana
jo apna hota hai us se gila bhi hota hai

kisi mariz se kahna ki aap achchhe hain
ye baat kahne ka matlab dawa bhi hota hai

ye baat mere siwa jaanta nahin koi
ki us ki baat mein gahra nasha bhi hota hai

kabhi jo galiyan de man to ye samajh lena
ki us ki gali ka matlab dua bhi hota hai


Leave a comment

+