Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Kaifi

  • Ghazal


kya hoga jab mar jaenge


kyā hogā jab mar jā.eñge
apne apne ghar jā.eñge

baat ko poshīda rahne de
baat khulī to sar jā.eñge

qatl kiye do-chār to sochā
ham bhī tujh se Dar jā.eñge

chāhne vaale tere ik din
chaukhaT par sar dhar jā.eñge

us kī jānib jaane vaale
le kar jalte par jā.eñge

sadiyāñ yaad kareñgī ham ko
kaam aise kuchh kar jā.eñge

ban jā.eñge yaad kā hissa
jab ham tujh par mar jā.eñge

jaisī paa.ī ham ne tujh se
chādar vaisī dhar jā.eñge

kya hoga jab mar jaenge
apne apne ghar jaenge

baat ko poshida rahne de
baat khuli to sar jaenge

qatl kiye do-chaar to socha
hum bhi tujh se Dar jaenge

chahne wale tere ek din
chaukhaT par sar dhar jaenge

us ki jaanib jaane wale
le kar jalte par jaenge

sadiyan yaad karengi hum ko
kaam aise kuchh kar jaenge

ban jaenge yaad ka hissa
jab hum tujh par mar jaenge

jaisi pai hum ne tujh se
chadar waisi dhar jaenge


Leave a comment

+