Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Kaifi

  • Ghazal


kanTe chunna phul bichhana


kāñTe chunñā phuul bichhānā
rasta yuuñ āsān banānā

laakh jalāyā us ne lekin
zinda hai phir bhī parvāna

us ko apnā kar lenā to
yā phir us kā hī ho jaanā

mashvara bhī kar leñge ham
pahle to ghar aa jaanā

husn to ik din Dhal jaatā hai
husn pe itnā kyā itrānā

Thokar meñ duniyā rakhā hai
aayā jis ko Thokar khānā

jab zarā āñkheñ khultī haiñ
khultā hai puurā mai-ḳhāna

log gahrā kar dete haiñ
zaḳhm na apnā koī dikhānā

kanTe chunna phul bichhana
rasta yun aasan banana

lakh jalaya us ne lekin
zinda hai phir bhi parwana

us ko apna kar lena to
ya phir us ka hi ho jaana

mashwara bhi kar lenge hum
pahle to ghar aa jaana

husn to ek din Dhal jata hai
husn pe itna kya itrana

Thokar mein duniya rakha hai
aaya jis ko Thokar khana

jab zara aankhen khulti hain
khulta hai pura mai-KHana

log gahra kar dete hain
zaKHm na apna koi dikhana


Leave a comment

+