Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Kaifi

  • Ghazal


yahan se chalenge wahan se chalenge


yahāñ se chaleñge vahāñ se chaleñge
kahoge to sāre-jahāñ se chaleñge

kamāñ se chale haiñ na jo tiir ab tak
vahī tiir terī zabāñ se chaleñge

achānak hī jin ko Thaharnā paḌā hai
mire paañv ke vo nishāñ se chaleñge

jinheñ shauq-e-mansab-o-in.ām hai vo
jhukā kar nazar be-zabāñ se chaleñge

miTā deñge hastī-o-bastī tumhārī
vo naale jo dard-e-nihāñ se chaleñge

yahan se chalenge wahan se chalenge
kahoge to sare-jahan se chalenge

kaman se chale hain na jo tir ab tak
wahi tir teri zaban se chalenge

achanak hi jin ko Thaharna paDa hai
mere panw ke wo nishan se chalenge

jinhen shauq-e-mansab-o-inam hai wo
jhuka kar nazar be-zaban se chalenge

miTa denge hasti-o-basti tumhaari
wo nale jo dard-e-nihan se chalenge


Leave a comment

+