Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Kaifi

  • Ghazal


kai dinon se use mujhse koi kaam nahin


ka.ī dinoñ se use mujh se koī kaam nahīñ
yahī sabab hai ki mujh se duā salām nahīñ

abhī safar meñ huuñ chalnā mirā muqaddar hai
pahuñch gayā huuñ jahāñ vo mirā maqām nahīñ

fazā kasīf kiye jā rahe haiñ log magar
lagātā un pe yahāñ par koī nizām nahīñ

vo lauTne kā bahāna bhī DhūñD saktā hai
ḳhayāl hai mirā lekin ḳhayāl ḳhaam nahīñ

tumhāre mahal kī buniyād meñ haiñ dafn magar
koī bhī mahal meñ letā hamārā naam nahīñ

kai dinon se use mujh se koi kaam nahin
yahi sabab hai ki mujh se dua salam nahin

abhi safar mein hun chalna mera muqaddar hai
pahunch gaya hun jahan wo mera maqam nahin

faza kasif kiye ja rahe hain log magar
lagata un pe yahan par koi nizam nahin

wo lauTne ka bahana bhi DhunD sakta hai
KHayal hai mera lekin KHayal KHam nahin

tumhaare mahal ki buniyaad mein hain dafn magar
koi bhi mahal mein leta hamara nam nahin


Leave a comment

+