Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Fakhri

  • Ghazal


lu ho saba ho ya purwai sab ke sath chalo


lū ho sabā ho yā purvā.ī sab ke saath chalo
sab haiñ said-e-rah-e-tanhā.ī sab ke saath chalo

mār-e-āstīñ har har dost ho yā phir aise nasīb
haath meñ ho vo dast-e-hinā.ī sab ke saath chalo

sar huā ūñchā qalb kushāda kyā kam hai ye atā
sañg mileñ yā tamġhe talā.ī sab ke saath chalo

har har saañs havā amrit ras meñ yā Duubī bas meñ
vasl ho yā āshob-e-judā.ī sab ke saath chalo

rāh-e-shauq meñ jaane kaun kahāñ thak kar rah jaa.e
farzāne hoñ yā saudā.ī sab ke saath chalo

lu ho saba ho ya purwai sab ke sath chalo
sab hain said-e-rah-e-tanhai sab ke sath chalo

mar-e-astin har har dost ho ya phir aise nasib
hath mein ho wo dast-e-hinai sab ke sath chalo

sar hua uncha qalb kushada kya kam hai ye ata
sang milen ya tamghe talai sab ke sath chalo

har har sans hawa amrit ras mein ya Dubi bas mein
wasl ho ya aashob-e-judai sab ke sath chalo

rah-e-shauq mein jaane kaun kahan thak kar rah jae
farzane hon ya saudai sab ke sath chalo


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 422) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+