pahlū meñ ik na.ī sī ḳhalish pā rahā huuñ maiñ
is vaqt ġhāliban unheñ yaad aa rahā huuñ maiñ
kyā chashm-e-iltifāt kā matlab samajh gayā
kyuuñ tark-e-ārzū kī qasam khā rahā huuñ maiñ
kyā kuchh na thī shikāyat-e-kotāhī-e-nazar
ab vus.at-e-nigāh se ghabrā rahā huuñ maiñ
tū ye samajh rahā hai ki majbūr-e-ishq huuñ
kuchh soch kar fareb-e-vafā khā rahā huuñ maiñ
pahlu mein ek nai si KHalish pa raha hun main
is waqt ghaaliban unhen yaad aa raha hun main
kya chashm-e-iltifat ka matlab samajh gaya
kyun tark-e-arzu ki qasam kha raha hun main
kya kuchh na thi shikayat-e-kotahi-e-nazar
ab wusat-e-nigah se ghabra raha hun main
tu ye samajh raha hai ki majbur-e-ishq hun
kuchh soch kar fareb-e-wafa kha raha hun main
Leave a comment