Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Ahmad Siddiqui

  • Ghazal


un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai


un nigāhoñ ko ajab tarz-e-kalām aatā hai
aisā lagtā hai bahāroñ kā payām aatā hai

marhala hotā hai jab dār-o-rasan kā darpesh
qur.a-e-fāl ham aisoñ hī ke naam aatā hai

ai mire nāseh-e-mushfiq kabhī ye bhī sochā
kaun duniyā meñ ḳhushī se tah-e-dām aatā hai

bāda-noshī meñ bhī hai kaif-e-sukūñ-baḳhsh magar
haa.e vo kaif jo be-minnat-e-jām aatā hai

apnī hañstī kā bhī ehsās jahāñ ho na sake
ālam-e-hosh meñ ik vo bhī maqām aatā hai

pesh-dastī hai ḳharābāt-e-jahāñ kā dastūr
takte rahne se kahīñ haath meñ jaam aatā hai

ahl-e-himmat ke hasīñ ḳhvāboñ kī niklī ta.abīr
ibn-e-ādam ko sitāroñ kā salām aatā hai

un nigahon ko ajab tarz-e-kalam aata hai
aisa lagta hai bahaaron ka payam aata hai

marhala hota hai jab dar-o-rasan ka darpesh
qura-e-fal hum aison hi ke nam aata hai

ai mere naseh-e-mushfiq kabhi ye bhi socha
kaun duniya mein KHushi se tah-e-dam aata hai

baada-noshi mein bhi hai kaif-e-sukun-baKHsh magar
hae wo kaif jo be-minnat-e-jam aata hai

apni hansti ka bhi ehsas jahan ho na sake
aalam-e-hosh mein ek wo bhi maqam aata hai

pesh-dasti hai KHarabaat-e-jahan ka dastur
takte rahne se kahin hath mein jam aata hai

ahl-e-himmat ke hasin KHwabon ki nikli tabir
ibn-e-adam ko sitaron ka salam aata hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+