haiñ dhabbe teġh-e-qātil ke jise dhone nahīñ dete
mire ahbāb tajdīd-e-vafā hone nahīñ dete
mirī vahshat ke saa.e jhāñkte rahte haiñ rauzan se
ye ādam-ḳhor mujh ko rāt-bhar sone nahīñ dete
shikast-e-ārzū rusvā.ī-e-fikr-o-nazar paiham
yahī hālāt mujh ko aap kā hone nahīñ dete
taqāzā-e-vafā meñ bhī sitam kā ek pahlū hai
maiñ ronā chāhtā huuñ aur vo rone nahīñ dete
'habīb' apnī ḳhatā thī ho ga.e rusvā zamāne meñ
ki ham sehn-e-chaman meñ bijliyāñ bone nahīñ dete
hain dhabbe tegh-e-qatil ke jise dhone nahin dete
mere ahbab tajdid-e-wafa hone nahin dete
meri wahshat ke sae jhankte rahte hain rauzan se
ye aadam-KHor mujh ko raat-bhar sone nahin dete
shikast-e-arzu ruswai-e-fikr-o-nazar paiham
yahi haalat mujh ko aap ka hone nahin dete
taqaza-e-wafa mein bhi sitam ka ek pahlu hai
main rona chahta hun aur wo rone nahin dete
'habib' apni KHata thi ho gae ruswa zamane mein
ki hum sehn-e-chaman mein bijliyan bone nahin dete
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment