ḳhud pe vo faḳhr-kunāñ kaisā hai
us ko apne pe gumāñ kaisā hai
koī jumbish hai na aahaT na sadā
ye jahān-e-guzarāñ kaisā hai
dil dhaḌakne kī bhī āvāz nahīñ
sāneha kāhish-e-jāñ kaisā hai
aaj tak zaḳhm hare haiñ dil ke
marham-e-chāra-garāñ kaisā hai
us se nazdīk nahīñ hai koī
vo qarīb-e-rag-e-jāñ kaisā hai
gul khulā hī ga.ī lailā-e-bahār
shor-e-āshufta-sarāñ kaisā hai
ham kaḌī dhuup ke aadī the 'habāb'
sar pe ye abr-e-ravāñ kaisā hai
KHud pe wo faKHr-kunan kaisa hai
us ko apne pe guman kaisa hai
koi jumbish hai na aahaT na sada
ye jahan-e-guzaran kaisa hai
dil dhaDakne ki bhi aawaz nahin
saneha kahish-e-jaan kaisa hai
aaj tak zaKHm hare hain dil ke
marham-e-chaara-garan kaisa hai
us se nazdik nahin hai koi
wo qarib-e-rag-e-jaan kaisa hai
gul khula hi gai laila-e-bahaar
shor-e-ashufta-saran kaisa hai
hum kaDi dhup ke aadi the 'habab'
sar pe ye abr-e-rawan kaisa hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment