mohabbatoñ meñ udaas ho kar rahā na jaa.e
udaas mausam kā tazkira bhī kiyā na jaa.e
milo to aise ki aa.ina aa.ine se jaise
diloñ meñ ranjish yā buġhz rakh kar milā na jaa.e
maiñ chāhtī huuñ baġhair mere na rah sake tū
maiñ chāhtī baġhair tere rahā na jaa.e
ḳhayāl rakhiye safar meñ apne bhī ham-safar kā
qadam se aage qadam baḌhā kar chalā na jaa.e
jo lafz mujh meñ taḌap rahe haiñ ve kyā kareñge
kisī bure ko agar burā bhī kahā na jaa.e
mohabbaton mein udas ho kar raha na jae
udas mausam ka tazkira bhi kiya na jae
milo to aise ki aaina aaine se jaise
dilon mein ranjish ya bughz rakh kar mila na jae
main chahti hun baghair mere na rah sake tu
main chahti baghair tere raha na jae
KHayal rakhiye safar mein apne bhi ham-safar ka
qadam se aage qadam baDha kar chala na jae
jo lafz mujh mein taDap rahe hain we kya karenge
kisi bure ko agar bura bhi kaha na jae
Leave a comment