Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gul Afshan

  • Ghazal


ghalat-fahmi hai tumko hum tumhaare to nahin hain


ġhalat-fahmī hai tum ko ham tumhāre to nahīñ haiñ
hamārī aañkh meñ aise ishāre to nahīñ haiñ

hamāre ho to phir aao hamārā saath bhī do
masā.il zindagī ke sab hamāre to nahīñ haiñ

udāsī ko udāsī kyuuñ nahīñ taslīm karte
mirī palkoñ pe aañsū haiñ sitāre to nahīñ haiñ

maiñ bāhar ḳhvāb se aa bhī ga.ī to kyā karūñgī
mirī duniyā meñ kuchh achchhe nazāre to nahīñ haiñ

mahāz-ārā.ī jaarī hai abhī so laḌ rahe haiñ
abhī ham laḌ rahe haiñ jañg haare to nahīñ haiñ

magar ye kaise aalam aa rahe haiñ yaad mujh ko
ki aise roz-o-shab maiñ ne guzāre to nahīñ haiñ

parī kahte ho mujh ko aur kabhī tum huur sāhab
hamāre ḳhāl-o-ḳhad kuchh itne pyāre to nahīñ haiñ

ghalat-fahmi hai tum ko hum tumhaare to nahin hain
hamari aankh mein aise ishaare to nahin hain

hamare ho to phir aao hamara sath bhi do
masail zindagi ke sab hamare to nahin hain

udasi ko udasi kyun nahin taslim karte
meri palkon pe aansu hain sitare to nahin hain

main bahar KHwab se aa bhi gai to kya karungi
meri duniya mein kuchh achchhe nazare to nahin hain

mahaz-arai jari hai abhi so laD rahe hain
abhi hum laD rahe hain jang haare to nahin hain

magar ye kaise aalam aa rahe hain yaad mujh ko
ki aise roz-o-shab main ne guzare to nahin hain

pari kahte ho mujh ko aur kabhi tum hur sahab
hamare KHal-o-KHad kuchh itne pyare to nahin hain


Leave a comment

+