Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Guhar Khairabadi

  • Ghazal


gham nahin jo luT gae hum aa ke manzil ke qarib


ġham nahīñ jo luT ga.e ham aa ke manzil ke qarīb
jaane kitnī kashtiyāñ Duubī haiñ sāhil ke qarīb

sarfaroshī merī koī rañg dikhlā jā.egī
aa gayā huuñ ye irāda le ke qātil ke qarīb

sirf dil kī be-hisī thī fāsla kuchh bhī na thā
jab kiyā ehsās paayā aap ko dil ke qarīb

tum ne jo rakkhā yuuñ hī taḳhrīb-kārāna mizāj
kaun aane degā tum ko apnī mahfil ke qarīb

rukte haiñ kab rokne se mauj-e-tūfāñ ke 'guhar'
hausle vaale pahuñch jaate haiñ sāhil ke qarīb

gham nahin jo luT gae hum aa ke manzil ke qarib
jaane kitni kashtiyan Dubi hain sahil ke qarib

sarfaroshi meri koi rang dikhla jaegi
aa gaya hun ye irada le ke qatil ke qarib

sirf dil ki be-hisi thi fasla kuchh bhi na tha
jab kiya ehsas paya aap ko dil ke qarib

tum ne jo rakkha yun hi taKHrib-karana mizaj
kaun aane dega tum ko apni mahfil ke qarib

rukte hain kab rokne se mauj-e-tufan ke 'guhar'
hausle wale pahunch jate hain sahil ke qarib


Source: Book : Aab-e-Gohar (Pg. 59) Author : Sayed-ul-Hassan Khan Publication : Sayed-ul-Hassan Khan (1995) Edition : 1995

Leave a comment

+