charāġh se kabhī tāroñ se raushnī māñge
añdherī raat bhī kis kis se zindagī māñge
jalāne vaale jalāte haiñ nafratoñ ke charāġh
fazā-e-vaqt mohabbat kī raushnī māñge
vo nā-shanās-e-haqīqat hai is zamāna meñ
vafā ko bhiik samajh kar galī galī māñge
nishāt-o-ranj muqaddar kī baat hotī hai
kisī se ġham na kisī se koī ḳhushī māñge
har ek shaḳhs meñ andāz-e-kaj-adā.ī hai
magar ye dil hai ki rah rah ke dostī māñge
jahāñ suroñ kī haqīqat na ho vahāñ pe 'guhar'
jo koī māñge to kyā tāj-e-khusravī māñge
charagh se kabhi taron se raushni mange
andheri raat bhi kis kis se zindagi mange
jalane wale jalate hain nafraton ke charagh
faza-e-waqt mohabbat ki raushni mange
wo na-shanas-e-haqiqat hai is zamana mein
wafa ko bhik samajh kar gali gali mange
nishat-o-ranj muqaddar ki baat hoti hai
kisi se gham na kisi se koi KHushi mange
har ek shaKHs mein andaz-e-kaj-adai hai
magar ye dil hai ki rah rah ke dosti mange
jahan suron ki haqiqat na ho wahan pe 'guhar'
jo koi mange to kya taj-e-khusrawi mange
Source: Book : Aab-e-Gohar (Pg. 153) Author : Sayed-ul-Hassan Khan Publication : Sayed-ul-Hassan Khan (1995) Edition : 1995
Leave a comment