takallum jo koī kartā hai faanī
hamārī aur tumhārī hai kahānī
junūñ meñ yaad hai ik bait-e-abrū
kahāñ hai ab dimāġh-e-sher-ḳhvānī
ma.āl-e-āshiq o māshūq hai ek
sunā hai sham-e-sozāñ kī zabānī
nishāñ ham be-nishānoñ kā na paayā
sabā ne muddatoñ tak ḳhaak chhānī
vo āshiq huuñ na aa.e niind mujh ko
sunūñ jab tak na yūsuf kī kahānī
nahīñ bachtā hai bīmār-e-mohabbat
sunā hai ham ne 'goyā' kī zabānī
takallum jo koi karta hai fani
hamari aur tumhaari hai kahani
junun mein yaad hai ek bait-e-abru
kahan hai ab dimagh-e-sher-KHwani
maal-e-ashiq o mashuq hai ek
suna hai sham-e-sozan ki zabani
nishan hum be-nishanon ka na paya
saba ne muddaton tak KHak chhani
wo aashiq hun na aae nind mujh ko
sunun jab tak na yusuf ki kahani
nahin bachta hai bimar-e-mohabbat
suna hai hum ne 'goya' ki zabani
Leave a comment