Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Hameed

  • Ghazal


ufuq tak mera sahra khil raha hai


ufuq tak merā sahrā khil rahā hai
kahīñ dariyā se dariyā mil rahā hai

libās-e-abr ne bhī rañg badlā
zamīñ kā pairahan bhī sil rahā hai

isī taḳhlīq kī āsūdgī meñ
bahut bechain merā dil rahā hai

kisī ke narm lahje kā qarīna
mirī āvāz meñ shāmil rahā hai

maiñ ab us harf se katrā rahī huuñ
jo merī baat kā hāsil rahā hai

kisī ke dil kī nā-hamvāriyoñ par
sambhalnā kis qadar mushkil rahā hai

ufuq tak mera sahra khil raha hai
kahin dariya se dariya mil raha hai

libas-e-abr ne bhi rang badla
zamin ka pairahan bhi sil raha hai

isi taKHliq ki aasudgi mein
bahut bechain mera dil raha hai

kisi ke narm lahje ka qarina
meri aawaz mein shamil raha hai

main ab us harf se katra rahi hun
jo meri baat ka hasil raha hai

kisi ke dil ki na-hamwariyon par
sambhalna kis qadar mushkil raha hai

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 ufaq tak mra sehra khil raha hai Azra Naqvi

Leave a comment

+