us ko ġhaflat-pesha kah aate haiñ ham
bhuul jaanā yaad dilvāte haiñ ham
zo.af se rahtā hai ab paañv pe sar
aap apnī Thokareñ khāte haiñ ham
dil nahīñ us but kī ulfat chhoḌtā
nā-samajh ko laakh samjhāte haiñ ham
hai janāza is liye bhārī mirā
hasrateñ dil kī liye jaate haiñ ham
bār-e-isyāñ sar pe hai goyā bahut
kyā uThā.eñ sar jhuke jaate haiñ ham
us ko ghaflat-pesha kah aate hain hum
bhul jaana yaad dilwate hain hum
zoaf se rahta hai ab panw pe sar
aap apni Thokaren khate hain hum
dil nahin us but ki ulfat chhoDta
na-samajh ko lakh samjhate hain hum
hai janaza is liye bhaari mera
hasraten dil ki liye jate hain hum
bar-e-isyan sar pe hai goya bahut
kya uThaen sar jhuke jate hain hum
Source: Book : Noquush (Pg. B-418 E-428) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954
Leave a comment