Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Goya Faqir Mohammad

  • Ghazal


ulfat ye chhupaen hum kisi ki


ulfat ye chhupā.eñ ham kisī kī
dil se bhī kaheñ na apnī jī kī

jaane vo kyā kisī kī jī kī
jis ko ulfat na ho kisī kī

ḳhvāhish na bar aa.ī apnī jī kī
ham ne kis kis kī dostī kī

achchhī nahīñ sharh āshiqī kī
pūchho na ajī kisī kī jī kī

ye ro.e ki naama bah ke pahuñchā
ashkoñ ne hamāre qāsidī kī

surḳhī magar us ke lab kī dekhī
rañgat hai safed aarsī kī

āshiq the vo ham ki ba.ad apne
miTTī hī ḳharāb āshiqī kī

ai abr-e-shab-e-firāq sach kah
rote kaTtī hai shab kisī kī

dil zulf-e-rasā talak to pahuñchā
itnī baḳhtoñ ne rahbarī kī

bijlī chamkī to abr royā
yaad aa ga.ī kyā hañsī kisī kī

ham kisī kī galī kī raah bhūle
jo ḳhizr ne bhī na rahbarī kī

dil ko mire ḳhaak meñ milāyā
dilbar ne ḳhuub dilbarī kī

sozish mire dil kī dekh ai maah
kar sair is burj-e-ātishī kī

vo tifl-e-nusairī aa.e shāyad
qasmeñ duuñ murtazā-alī kī

gardan-zadanī thī sham.a-e-sarkash
kyuuñ us kī galī se ham-sarī kī

bas rakh diyā ḳhat meñ barg-e-sausan
jab likh na sake sifat misī kī

Thukrā ke chalī jabīñ ko mere
qismat ke likhe ne yāvarī kī

ye rashk hai muñh jo yaar dekhe
sūrat dekhūñ na aarsī kī

bhūlā thā maiñ rāh-e-kū-e-qātil
tū ne ai maut rahbarī kī

us ke gardan talak na pahuñchā
ai dast-e-darāz kotahī kī

dil ko paalā baġhal meñ tū ne
goyā dushman se dostī kī

ulfat ye chhupaen hum kisi ki
dil se bhi kahen na apni ji ki

jaane wo kya kisi ki ji ki
jis ko ulfat na ho kisi ki

KHwahish na bar aai apni ji ki
hum ne kis kis ki dosti ki

achchhi nahin sharh aashiqi ki
puchho na aji kisi ki ji ki

ye roe ki nama bah ke pahuncha
ashkon ne hamare qasidi ki

surKHi magar us ke lab ki dekhi
rangat hai safed aarsi ki

aashiq the wo hum ki baad apne
miTTi hi KHarab aashiqi ki

ai abr-e-shab-e-firaq sach kah
rote kaTti hai shab kisi ki

dil zulf-e-rasa talak to pahuncha
itni baKHton ne rahbari ki

bijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki

hum kisi ki gali ki rah bhule
jo KHizr ne bhi na rahbari ki

dil ko mere KHak mein milaya
dilbar ne KHub dilbari ki

sozish mere dil ki dekh ai mah
kar sair is burj-e-atishi ki

wo tifl-e-nusairi aae shayad
qasmen dun murtaza-ali ki

gardan-zadani thi shama-e-sarkash
kyun us ki gali se ham-sari ki

bas rakh diya KHat mein barg-e-sausan
jab likh na sake sifat misi ki

Thukra ke chali jabin ko mere
qismat ke likhe ne yawari ki

ye rashk hai munh jo yar dekhe
surat dekhun na aarsi ki

bhula tha main rah-e-ku-e-qatil
tu ne ai maut rahbari ki

us ke gardan talak na pahuncha
ai dast-e-daraaz kotahi ki

dil ko pala baghal mein tu ne
goya dushman se dosti ki


Leave a comment

+