Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Goya Faqir Mohammad

  • Ghazal


nim bismil ki kya ada hai ye


niim bismil kī kyā adā hai ye
āshiqo loTne kī jā hai ye

shab-e-vasl-e-sanam vilā hai ye
bose hoñToñ kī le mazā hai ye

dil ko kyuuñ pā.emāl karte ho
na to sabza hī na hinā hai ye

kaaT kar sar lagā.iye Thokar
qatl-e-āshiq kā ḳhūñ-bahā hai ye

dūd-e-dil kyuuñ na rashk-e-sumbul ho
ātish-e-husn se jalā hai ye

zulf meñ kyuuñ na dil rahe bedār
lailatul-qadr se sivā hai ye

āñkheñ us kī siyāh haiñ az-ḳhud
tūtiyā kis kā tūtiyā hai ye

kyā hai nām-e-ḳhudā hai merā sanam
but jise kahte haiñ ḳhudā hai ye

zulf meñ dil mudām rahtā hai
dekhnā kis ke sar chaḌhā hai ye

dar pe nālāñ jo huuñ to kahtā hai
pūchho kyā chiiz bechtā hai ye

chūmtā huuñ maiñ apne dil ke qadam
bosa-e-yār kā gadā hai ye

dafn masjid meñ mere dil ko karo
tāq-e-abrū pe mar gayā hai ye

tāq-e-abrū-e-yār ko dekhūñ
ain ka.abe meñ iltijā hai ye

qad-e-jānāñ nahīñ qayāmat hai
zulf-e-jānāñ nahīñ balā hai ye

go sanam murde zinde kartā hai
kaun kāfir kahe ḳhudā hai ye

ho shahādat nasīb 'goyā' ko
fidvī-e-shāh-e-karbalā hai ye

nim bismil ki kya ada hai ye
aashiqo loTne ki ja hai ye

shab-e-wasl-e-sanam wila hai ye
bose honTon ki le maza hai ye

dil ko kyun paemal karte ho
na to sabza hi na hina hai ye

kaT kar sar lagaiye Thokar
qatl-e-ashiq ka KHun-baha hai ye

dud-e-dil kyun na rashk-e-sumbul ho
aatish-e-husn se jala hai ye

zulf mein kyun na dil rahe bedar
lailatul-qadr se siwa hai ye

aankhen us ki siyah hain az-KHud
tutiya kis ka tutiya hai ye

kya hai nam-e-KHuda hai mera sanam
but jise kahte hain KHuda hai ye

zulf mein dil mudam rahta hai
dekhna kis ke sar chaDha hai ye

dar pe nalan jo hun to kahta hai
puchho kya chiz bechta hai ye

chumta hun main apne dil ke qadam
bosa-e-yar ka gada hai ye

dafn masjid mein mere dil ko karo
taq-e-abru pe mar gaya hai ye

taq-e-abru-e-yar ko dekhun
ain kabe mein iltija hai ye

qad-e-jaanan nahin qayamat hai
zulf-e-jaanan nahin bala hai ye

go sanam murde zinde karta hai
kaun kafir kahe KHuda hai ye

ho shahadat nasib 'goya' ko
fidwi-e-shah-e-karbala hai ye


Leave a comment

+