Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Goya Faqir Mohammad

  • Ghazal


usko mujhse ruTha diya kis ne


us ko mujh se ruThā diyā kis ne
mere dil ko dukhā diyā kis ne

dām-e-kākul dikhā diyā kis ne
murġh-e-dil ko phañsā diyā kis ne

ḳham-e-abru dikhā diyā kis ne
ka.aba-e-dil girā diyā kis ne

ai falak ham to baiThe hañste the
uThte uThte rulā diyā kis ne

aa.ine meñ dikhā ke terī shakl
tujh ko hairāñ banā diyā kis ne

ik qalam harf-e-dostī bhūlā
haa.e us ko paḌhā diyā kis ne

maiñ gayā us ke ghar to kahne lagā
ghar hamārā batā diyā kis ne

nahīñ ma.alūm shauq-e-qatl meñ kuchh
sar hamārā uḌā diyā kis ne

na samā.e kisī kī āñkhoñ meñ
nazroñ se yuuñ girā diyā kis ne

māñgte hī gunāhgār hue
us se bosa liyā diyā kis ne

kal talak dost thā vo 'goyā' kā
aaj dushman banā diyā kis ne

us ko mujh se ruTha diya kis ne
mere dil ko dukha diya kis ne

dam-e-kakul dikha diya kis ne
murgh-e-dil ko phansa diya kis ne

KHam-e-abru dikha diya kis ne
kaba-e-dil gira diya kis ne

ai falak hum to baiThe hanste the
uThte uThte rula diya kis ne

aaine mein dikha ke teri shakl
tujh ko hairan bana diya kis ne

ek qalam harf-e-dosti bhula
hae us ko paDha diya kis ne

main gaya us ke ghar to kahne laga
ghar hamara bata diya kis ne

nahin malum shauq-e-qatl mein kuchh
sar hamara uDa diya kis ne

na samae kisi ki aankhon mein
nazron se yun gira diya kis ne

mangte hi gunahgar hue
us se bosa liya diya kis ne

kal talak dost tha wo 'goya' ka
aaj dushman bana diya kis ne


Leave a comment

+