Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Goya Faqir Mohammad

  • Ghazal


kyunkar na KHush ho sar mera laTakka ke dar mein


kyūñkar na ḳhush ho sar mirā laTakkā ke daar meñ
kyā phal lagā hai naḳhl-e-tamannā-e-yār meñ

chāhā bahut valī na muā hijr-e-yār meñ
mahbūb kyā ajal bhī nahīñ iḳhtiyār meñ

mūbāf surḳh kyuuñ na ho gesū-e-yār meñ
shab-ḳhūn ya.anī laate haiñ shub.hā-e-tār meñ

mūbāf hai kināre kā zulf-e-nigār meñ
yā barf kaundtī hai ye abr-e-bahār meñ

rāhat ke saath rañj bhī hai rozgār meñ
hañsne pe gul ke rotī hai shabnam bahār meñ

pinhāñ huā hai ḳhāl-e-ḳhat-e-mushk-bār meñ
miltā nahīñ hai DhūñDhe se naafā tatār meñ

mar jā.ūñgā ḳhayāl-e-ruḳh-o-zulf yaar meñ
aa jā.egī ajal isī lail-o-nahār meñ

lipTī hai choTī yaar kī phūloñ ke haar meñ
sumbul ne gul khilā.e haiñ fasl-e-bahār meñ

aa.uuñ na aap meñ jo vo aa.e kanār meñ
rakhkhūñ maiñ apnī tarah use intizār meñ

sabza tak apnī qabar kā ḳhvābīda ho gayā
par ham ko niiñd aa.ī na ik dam mazār meñ

o barq-e-tūr tā-ba-kujā lan-tarāniyāñ
pathrā ga.iiñ haiñ āñkheñ mire intizār meñ

jaa.eñ kab āshnā tirī dariyā kī sair ko
ashk-e-ravāñ se rakhtī haiñ dariyā kanār meñ

ye kis ne aa ke qabar pe bechain kar diyā
kyā so rahī thī chain se kunj-e-mazār meñ

aayā hai ḳhvāb bhī shab-e-va.ada agar hameñ
āñkheñ khulī rahī haiñ tire intizār meñ

ḳhāk-e-chaman se kyā hai mirā kālbad banā
dāġhoñ se gul jo khilte haiñ fasl-e-bahār meñ

ba.ad az fanā bhī husn-parastī se kaam hai
ā.īna saañ safā.ī hai sañg-e-mazār meñ

aañsū bahā.ūñ āñkhoñ se us ko lagā ke maiñ
motī piro.ūñ yaar kī phūloñ ke haar meñ

kyuuñ muñh se boltā nahīñ niklā hai ab to ḳhat
darvāza band baaġh kā mat kar bahār meñ

rote haiñ yaad gauhar-e-dandān meñ un din
motī bhare haiñ misl-e-sadaf yaañ kanār meñ

kahiye vo la.al-e-lab ḳhat-e-mushkīñ meñ dekh kar
paidā huā hai la.al-e-badaḳhshāñ tatār meñ

farhād kī ye āñkheñ haiñ shīrīñ ko DhūñDhte
ab dil ġhazāl phirtī nahīñ kohsār meñ

muuzī hai charḳh is se nahīñ kaj-ravī ba.iid
sach yuuñ hai rāstī nahīñ raftār meñ

tujh bin nahīñ ye jalva-numā shab ko māhtāb
chashm-e-falak safed hue intizār meñ

to sun ke saath dauḌūñ jo maiñ man.a karūñ
zālim anān-e-sabr nahīñ iḳhtiyār meñ

phūloñ kā haar ban gayā hai motiyoñ kā haar
aisā ḳhushī se phuul gayā dast-e-yār meñ

nafrat ye in guloñ ko hai marne ke ba.ad bhī
hotā nahīñ hai gul mire sham-e-mazār meñ

gesū ko us kī kuchh nahīñ parvā-e-naqd-e-dil
ye maal vo hai jo hai sab chashm-e-yār meñ

detī hai nā-tavānī agar ruḳhsat-e-chaman
phañstā huuñ dām-e-mauj-e-nasīm-e-bahār meñ

kartā hai koī turk-dilā neza-bāziyāñ
dumbāla surme kā ye nahīñ chashm-e-yār meñ

pīsegā ustuḳhāñ asar-e-iztirāb-e-dil
aalam ab āsiyā kā hai sañg-e-mazār meñ

bāġh-e-jahāñ meñ aish ke fursat bahut hai kam
labrez jām-e-umr hai gul kā bahār meñ

kis māh-vash se raat ham-āġhosh ham hue
aalam hilāl kā hai hamāre kanār meñ

masl-e-hinā hai ġhair kī hāthoñ mire bahār
sarsabz agarche hoñ chaman-e-rozgār meñ

aatā hai jab vo tan meñ mire jaan aatī hai
jaane meñ misl-e-umr nahīñ iḳhtiyār meñ

allāh re safā.ī-e-ruḳh-e-yār dekhnā
hairān hai ā.īna kaf-e-ā.īna-dār meñ

apne gale ke haar ke gar vo chaḌhā.e phuul
phūlā na phir samā.ūñ maiñ kunj-e-mazār meñ

gar peshvā-e-ḳhalq hai zāhid to kyā huā
tasbīh kā imaam nahīñ hai shumār meñ

mazmūn tirī kamar kā hai kyā aaj banda gayā
anqā phañsā hai un kī dām-e-shikār meñ

jhaḌtī haiñ muñh se phuul jo kartā hai baat tū
tujh sā nahīñ hai gul chaman-e-rozgār meñ

qāsid to saaf kah dī mukaddar hai mujh se kyā
likhā jo naama yaar ne ḳhat-e-ġhubār meñ

talvār le jo haath meñ ban jaa.e shāḳh-e-gul
sausan kā phuul hue sipar dast-e-yār meñ

ye kis ne aa ke qabr ko rauñdā hai paaoñ se
aatī hai bū-e-gul mirī ḳhāk-e-mazār meñ

ba.ad az fanā bhī ḳhvāhish-e-dīdār-e-yār hai
rauzan koī zarūr hai mere mazār meñ

jab raat hotī hai to sitāre nikalte haiñ
afshāñ zarūr chāhiye the zulf-e-yār meñ

kis ko ye hosh hai jo kare chaak jeb ko
bāhar hoñ apne jaame se fasl-e-bahār meñ

farmā.ish apnī dekhne vāloñ pe kartī haiñ
āñkhoñ ke Dore hoñ mire phūloñ ke haar meñ

paañv se apne aa.egī sahrā meñ bhī bahār
chhāle hamāre phuul piro.eñge ḳhaar meñ

vājib hai āb-e-teġh se kar lījiye vazū
sajda jo kījiye ḳham-e-abrū-e-yār meñ

dariyā meñ us kī tīr-e-mizha kā paḌe jo aks
surāḳh ho har ik guhar-e-āb-dār meñ

aayā kabhī na yaar na aayā maiñ aap meñ
apne aur us ke shikve kiye intizār meñ

nāsūr paḌ ga.ī tire dāñtoñ ke rashk se
rauzan nahīñ haiñ ye guhar-e-ābdār meñ

khā khā ke gul muā huuñ jo maiñ mere ḳhaak ke
tā.ūs bante haiñ chaman-e-rozgār meñ

aate hī fasl-e-gul mujhe josh-e-junūñ huā
zanjīr-e-dar se baaġh ke bāñdho bahār meñ

karte hī saaf ā.īñe ko ḳhaak dekh le
jauhar na pūchh jo haiñ har ik ḳhāksār meñ

rakhte nahīñ ġhurūr se vo paañv arsh par
chalte haiñ sar ke bal jo rah-e-kū-e-yār meñ

batlā.ūñ kyā vo kaisī hai ārām kī jagah
so jaa.eñ paañv jā.ūñ agar kū-e-yār meñ

apne sivā nahīñ hai koī apnā āshnā
dariyā kī tarah aap haiñ apne kanār meñ

'goyā' kabhī hai yaas kabhī intizār-e-yār
kyā kyā haiñ rañj zindagī-e-musta.ār meñ

kyunkar na KHush ho sar mera laTakka ke dar mein
kya phal laga hai naKHl-e-tamanna-e-yar mein

chaha bahut wali na mua hijr-e-yar mein
mahbub kya ajal bhi nahin iKHtiyar mein

mubaf surKH kyun na ho gesu-e-yar mein
shab-KHun yani late hain shubha-e-tar mein

mubaf hai kinare ka zulf-e-nigar mein
ya barf kaundti hai ye abr-e-bahaar mein

rahat ke sath ranj bhi hai rozgar mein
hansne pe gul ke roti hai shabnam bahaar mein

pinhan hua hai KHal-e-KHat-e-mushk-bar mein
milta nahin hai DhunDhe se nafa tatar mein

mar jaunga KHayal-e-ruKH-o-zulf yar mein
aa jaegi ajal isi lail-o-nahaar mein

lipTi hai choTi yar ki phulon ke haar mein
sumbul ne gul khilae hain fasl-e-bahaar mein

aaun na aap mein jo wo aae kanar mein
rakhkhun main apni tarah use intizar mein

sabza tak apni qabar ka KHwabida ho gaya
par hum ko nind aai na ek dam mazar mein

o barq-e-tur ta-ba-kuja lan-taraniyan
pathra gain hain aankhen mere intizar mein

jaen kab aashna teri dariya ki sair ko
ashk-e-rawan se rakhti hain dariya kanar mein

ye kis ne aa ke qabar pe bechain kar diya
kya so rahi thi chain se kunj-e-mazar mein

aaya hai KHwab bhi shab-e-wada agar hamein
aankhen khuli rahi hain tere intizar mein

KHak-e-chaman se kya hai mera kalbad bana
daghon se gul jo khilte hain fasl-e-bahaar mein

baad az fana bhi husn-parasti se kaam hai
aaina san safai hai sang-e-mazar mein

aansu bahaun aankhon se us ko laga ke main
moti piroun yar ki phulon ke haar mein

kyun munh se bolta nahin nikla hai ab to KHat
darwaza band bagh ka mat kar bahaar mein

rote hain yaad gauhar-e-dandan mein un din
moti bhare hain misl-e-sadaf yan kanar mein

kahiye wo lal-e-lab KHat-e-mushkin mein dekh kar
paida hua hai lal-e-badaKHshan tatar mein

farhad ki ye aankhen hain shirin ko DhunDhte
ab dil ghazal phirti nahin kohsar mein

muzi hai charKH is se nahin kaj-rawi baid
sach yun hai rasti nahin raftar mein

tujh bin nahin ye jalwa-numa shab ko mahtab
chashm-e-falak safed hue intizar mein

to sun ke sath dauDun jo main mana karun
zalim anan-e-sabr nahin iKHtiyar mein

phulon ka haar ban gaya hai motiyon ka haar
aisa KHushi se phul gaya dast-e-yar mein

nafrat ye in gulon ko hai marne ke baad bhi
hota nahin hai gul mere sham-e-mazar mein

gesu ko us ki kuchh nahin parwa-e-naqd-e-dil
ye mal wo hai jo hai sab chashm-e-yar mein

deti hai na-tawani agar ruKHsat-e-chaman
phansta hun dam-e-mauj-e-nasim-e-bahaar mein

karta hai koi turk-dila neza-baziyan
dumbaala surme ka ye nahin chashm-e-yar mein

pisega ustuKHan asar-e-iztirab-e-dil
aalam ab aasiya ka hai sang-e-mazar mein

bagh-e-jahan mein aish ke fursat bahut hai kam
labrez jam-e-umr hai gul ka bahaar mein

kis mah-wash se raat ham-aghosh hum hue
aalam hilal ka hai hamare kanar mein

masl-e-hina hai ghair ki hathon mere bahaar
sarsabz agarche hon chaman-e-rozgar mein

aata hai jab wo tan mein mere jaan aati hai
jaane mein misl-e-umr nahin iKHtiyar mein

allah re safai-e-ruKH-e-yar dekhna
hairan hai aaina kaf-e-aina-dar mein

apne gale ke haar ke gar wo chaDhae phul
phula na phir samaun main kunj-e-mazar mein

gar peshwa-e-KHalq hai zahid to kya hua
tasbih ka imam nahin hai shumar mein

mazmun teri kamar ka hai kya aaj banda gaya
anqa phansa hai un ki dam-e-shikar mein

jhaDti hain munh se phul jo karta hai baat tu
tujh sa nahin hai gul chaman-e-rozgar mein

qasid to saf kah di mukaddar hai mujh se kya
likha jo nama yar ne KHat-e-ghubar mein

talwar le jo hath mein ban jae shaKH-e-gul
sausan ka phul hue sipar dast-e-yar mein

ye kis ne aa ke qabr ko raunda hai paon se
aati hai bu-e-gul meri KHak-e-mazar mein

baad az fana bhi KHwahish-e-didar-e-yar hai
rauzan koi zarur hai mere mazar mein

jab raat hoti hai to sitare nikalte hain
afshan zarur chahiye the zulf-e-yar mein

kis ko ye hosh hai jo kare chaak jeb ko
bahar hon apne jame se fasl-e-bahaar mein

farmaish apni dekhne walon pe karti hain
aankhon ke Dore hon mere phulon ke haar mein

panw se apne aaegi sahra mein bhi bahaar
chhaale hamare phul piroenge KHar mein

wajib hai aab-e-tegh se kar lijiye wazu
sajda jo kijiye KHam-e-abru-e-yar mein

dariya mein us ki tir-e-mizha ka paDe jo aks
suraKH ho har ek guhar-e-ab-dar mein

aaya kabhi na yar na aaya main aap mein
apne aur us ke shikwe kiye intizar mein

nasur paD gai tere danton ke rashk se
rauzan nahin hain ye guhar-e-abdar mein

kha kha ke gul mua hun jo main mere KHak ke
taus bante hain chaman-e-rozgar mein

aate hi fasl-e-gul mujhe josh-e-junun hua
zanjir-e-dar se bagh ke bandho bahaar mein

karte hi saf aaine ko KHak dekh le
jauhar na puchh jo hain har ek KHaksar mein

rakhte nahin ghurur se wo panw arsh par
chalte hain sar ke bal jo rah-e-ku-e-yar mein

batlaun kya wo kaisi hai aaram ki jagah
so jaen panw jaun agar ku-e-yar mein

apne siwa nahin hai koi apna aashna
dariya ki tarah aap hain apne kanar mein

'goya' kabhi hai yas kabhi intizar-e-yar
kya kya hain ranj zindagi-e-mustaar mein


Leave a comment

+