misāl-e-aks mire aa.ine meñ Dhaltā rahā
vo ḳhadd-o-ḳhāl bhī apne magar badaltā rahā
maiñ pattharoñ pe girī aur ḳhud sambhal bhī ga.ī
vo ḳhāmushī se mire saath saath chaltā rahā
ujālā hote hī kaise use bujhā.ūñgī
agar charāġh mirā tā-ba-sub.h jaltā rahā
maiñ us ke ma.anī o maqsad ke sañg chuntī rahī
vo ek harf jo ehsās ko kuchaltā rahā
zamīñ ḳhulūs kī miTTī se be-niyāz rahī
rifāqatoñ kā shajar vāhimoñ pe paltā rahā
misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha
wo KHadd-o-KHal bhi apne magar badalta raha
main pattharon pe giri aur KHud sambhal bhi gai
wo KHamushi se mere sath sath chalta raha
ujala hote hi kaise use bujhaungi
agar charagh mera ta-ba-subh jalta raha
main us ke mani o maqsad ke sang chunti rahi
wo ek harf jo ehsas ko kuchalta raha
zamin KHulus ki miTTi se be-niyaz rahi
rifaqaton ka shajar wahimon pe palta raha
Leave a comment