Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gopal Mittal

  • Ghazal


shadan na ho gar mujh pe kaDa waqt paDa hai


shādāñ na ho gar mujh pe kaḌā vaqt paḌā hai
tū zad meñ hai jis vaqt kī us se bhī kaḌā hai

hai dhuup mire sar pe magar tū bhī mirī jaañ
girtī huī dīvār ke saa.e meñ khaḌā hai

kyā shaan hai vallāh husain-ibn-e-alī kī
sar kaT gayā qad phir bhī harīfoñ se baḌā hai

ham laash samajh kar jise pheñk aa.e the vo shaḳhs
chaTTān kī mānind alam ban ke khaḌā hai

haañ TuuT gayā vo bhī shajar thā jo tanāvar
kuchh der magar tund havāoñ se laḌā hai

shadan na ho gar mujh pe kaDa waqt paDa hai
tu zad mein hai jis waqt ki us se bhi kaDa hai

hai dhup mere sar pe magar tu bhi meri jaan
girti hui diwar ke sae mein khaDa hai

kya shan hai wallah husain-ibn-e-ali ki
sar kaT gaya qad phir bhi harifon se baDa hai

hum lash samajh kar jise phenk aae the wo shaKHs
chaTTan ki manind alam ban ke khaDa hai

han TuT gaya wo bhi shajar tha jo tanawar
kuchh der magar tund hawaon se laDa hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+