Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gopal Mittal

  • Ghazal


kaj-kulahi ki ada yaad aai


kaj-kulāhī kī adā yaad aa.ī
kū-e-qātil kī havā yaad aa.ī

dil ko shāyad nahīñ yārā-e-vafā
varna kyuuñ terī jafā yaad aa.ī

us kī bedād ke har zikr ke saath
us kī ek ek adā yaad aa.ī

dil ke ḳhuuñ hone kī jab baat chalī
us kī ḳhushbū-e-hinā yaad aa.ī

shukriya nāseh-e-mushfiq ki phir aaj
apnī rūdād-e-vafā yaad aa.ī

kaj-kulahi ki ada yaad aai
ku-e-qatil ki hawa yaad aai

dil ko shayad nahin yara-e-wafa
warna kyun teri jafa yaad aai

us ki bedad ke har zikr ke sath
us ki ek ek ada yaad aai

dil ke KHun hone ki jab baat chali
us ki KHushbu-e-hina yaad aai

shukriya naseh-e-mushfiq ki phir aaj
apni rudad-e-wafa yaad aai


Source: Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 204) Author : Gopal Mittal Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994) Edition : 1994

Leave a comment

+