phir vo nazar hai izn-e-tamāshā liye hue
tajdīd-e-ārzū kā taqāzā liye hue
chashm-e-siyah meñ mastiyāñ shām-e-visāl kī
aariz faroġh-e-sub.h-e-nazārā liye hue
har ek shaḳhs tark-e-tamannā kā mudda.ī
har ek shaḳhs terī tamannā liye hue
kal shab tulū-e-māh kā manzar ajiib thā
tum jaise aa ga.e ruḳh-e-zebā liye hue
dil aaj tak hai lutf-e-farāvāñ se sharmsār
lab aaj tak haiñ aap kā shikva liye hue
phir wo nazar hai izn-e-tamasha liye hue
tajdid-e-arzu ka taqaza liye hue
chashm-e-siyah mein mastiyan sham-e-visal ki
aariz farogh-e-subh-e-nazara liye hue
har ek shaKHs tark-e-tamanna ka muddai
har ek shaKHs teri tamanna liye hue
kal shab tulu-e-mah ka manzar ajib tha
tum jaise aa gae ruKH-e-zeba liye hue
dil aaj tak hai lutf-e-farawan se sharmsar
lab aaj tak hain aap ka shikwa liye hue
Source: Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 176) Author : Gopal Mittal Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994) Edition : 1994
Leave a comment