Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gopal Mittal

  • Ghazal


ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae


ishq meñ kab ye zarūrī hai ki royā jaa.e
ye nahīñ dāġh-e-nadāmat jise dhoyā jaa.e

dopahar hijr kī taptī huī sar par hai khaḌī
vasl kī raat ko shikvoñ meñ na khoyā jaa.e

uljhe ab panja-e-vahshat na garebānoñ se
aaj use sīna-a-a.adā meñ gaḌoyā jaa.e

ek hī ghūñT sahī aaj to pī le zāhid
kuchh na kuchh zohd kī ḳhushkī ko samoyā jaa.e

jitne bhī daaġh ra.ūnat ke haiñ dhul jā.eñge
hauz-e-mai meñ tujhe shaiḳh aaj Duboyā jaa.e

ishq mein kab ye zaruri hai ki roya jae
ye nahin dagh-e-nadamat jise dhoya jae

dopahar hijr ki tapti hui sar par hai khaDi
wasl ki raat ko shikwon mein na khoya jae

uljhe ab panja-e-wahshat na garebanon se
aaj use sina-a-ada mein gaDoya jae

ek hi ghunT sahi aaj to pi le zahid
kuchh na kuchh zohd ki KHushki ko samoya jae

jitne bhi dagh raunat ke hain dhul jaenge
hauz-e-mai mein tujhe shaiKH aaj Duboya jae


Source: Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 173) Author : Gopal Mittal Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994) Edition : 1994

Leave a comment

+