Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Girija Wiyas

  • Ghazal


aankhon mein nae rang sajaane nahin utre


āñkhoñ meñ na.e rañg sajāne nahīñ utre
ik umr huī ḳhvāb suhāne nahīñ utre

ākāsh pe uḌte rahe paanī ke parinde
khetoñ kī mire pyaas bujhāne nahīñ utre

har mauj thī bechain bahakne ko kabhī se
ḳhud aap hī dariyā meñ nahāne nahīñ utre

be-nūr haiñ chehre yahāñ māyūs hai har dil
ummīd kī kirnoñ ke ḳhazāne nahīñ utre

va.ada kiyā kis tarah vafā aap ne is baar
kyā zehn kī vaadī meñ bahāne nahīñ utre

aankhon mein nae rang sajaane nahin utre
ek umr hui KHwab suhane nahin utre

aakash pe uDte rahe pani ke parinde
kheton ki mere pyas bujhane nahin utre

har mauj thi bechain bahakne ko kabhi se
KHud aap hi dariya mein nahane nahin utre

be-nur hain chehre yahan mayus hai har dil
ummid ki kirnon ke KHazane nahin utre

wada kiya kis tarah wafa aap ne is bar
kya zehn ki wadi mein bahane nahin utre


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+