Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Girija Wiyas

  • Ghazal


toD sako tum shaKH se mujhko aisi to main kali nahin hun


toḌ sako tum shāḳh se mujh ko aisī to maiñ kalī nahīñ huuñ
rok sako tum merī rāheñ itnī uthlī nadī nahīñ huuñ

merī bāteñ sīdhī-sādī makkārī se bhare hue tum
mere paas to sachchā.ī hai jhūT-kapaT se bañdhī nahīñ huuñ

bune haiñ maiñ ne apne sapne ḳhud hī apnī raah banā.ī
raah se tum bhaTkā do mujh ko niiñd meñ aisī ghirī nahīñ huuñ

nīl-gagan hai merī tāqat dhartī mujh ko thāme rakhtī
koī āñdhī mujhe uḌaa.e tinkoñ kī maiñ banī nahīñ huuñ

tum bhī zulm kahāñ tak karte maiñ bhī unheñ kahāñ tak sahtī
tum bhī itne bure nahīñ ho maiñ bhī aisī bhalī nahīñ huuñ

toD sako tum shaKH se mujh ko aisi to main kali nahin hun
rok sako tum meri rahen itni uthli nadi nahin hun

meri baaten sidhi-sadi makkari se bhare hue tum
mere pas to sachchai hai jhuT-kapaT se bandhi nahin hun

bune hain main ne apne sapne KHud hi apni rah banai
rah se tum bhaTka do mujh ko nind mein aisi ghiri nahin hun

nil-gagan hai meri taqat dharti mujh ko thame rakhti
koi aandhi mujhe uDae tinkon ki main bani nahin hun

tum bhi zulm kahan tak karte main bhi unhen kahan tak sahti
tum bhi itne bure nahin ho main bhi aisi bhali nahin hun


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+