kisī ke haath meñ jām-e-sharāb aayā hai
ki māhtāb tah-e-āftāb aayā hai
nigāh-e-shauq mubārak nashāt-e-gul-chīnī
ruḳh-e-nigār pe rañg-e-itāb aayā hai
sazā-e-zohd shab-e-māhtāb kyā kam thī
ki roz-e-abr bhī ban ke azaab aayā hai
ziyā-e-husn o faroġh-e-hayā kī āmezish
shafaq kī god meñ yā āftāb aayā hai
tirī nigāh kī halkī sī ek jumbish se
jahān-e-shauq meñ kyā inqalāb aayā hai
kisi ke hath mein jam-e-sharab aaya hai
ki mahtab tah-e-aftab aaya hai
nigah-e-shauq mubarak nashat-e-gul-chini
ruKH-e-nigar pe rang-e-itab aaya hai
saza-e-zohd shab-e-mahtab kya kam thi
ki roz-e-abr bhi ban ke azab aaya hai
ziya-e-husn o farogh-e-haya ki aamezish
shafaq ki god mein ya aaftab aaya hai
teri nigah ki halki si ek jumbish se
jahan-e-shauq mein kya inqalab aaya hai
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
kisi ke hath mein jam-e-sharab aaya hai
Nomaan Shauque
Leave a comment