Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Rabbani Taban

  • Ghazal


swad-e-gham mein kahin gosha-e-aman na mila


svād-e-ġham meñ kahīñ gosha-e-amāñ na milā
ham aise kho.e ki phir terā āstāñ na milā

ġhamoñ kī bazm ki tanhā.iyoñ kī mahfil thī
hameñ vo dushman-e-tamkīñ kahāñ kahāñ na milā

ajiib daur-e-sitam hai ki dil ko muddat se
naved-e-ġham na milī muzhda-e-ziyāñ na milā

kise hai yaad ki sa.ī-o-talab kī rāhoñ meñ
kahāñ milā hameñ terā nishāñ kahāñ na milā

udhar vafā kā gilā hai ki dil lahū na huā
udhar sitam ko shikāyat ki qadr-dāñ na milā

laboñ ko nutq kā e.ajāz to milā 'tābāñ'
magar sukūt kā pairāya-e-bayāñ na milā

swad-e-gham mein kahin gosha-e-aman na mila
hum aise khoe ki phir tera aastan na mila

ghamon ki bazm ki tanhaiyon ki mahfil thi
hamein wo dushman-e-tamkin kahan kahan na mila

ajib daur-e-sitam hai ki dil ko muddat se
nawed-e-gham na mili muzhda-e-ziyan na mila

kise hai yaad ki sai-o-talab ki rahon mein
kahan mila hamein tera nishan kahan na mila

udhar wafa ka gila hai ki dil lahu na hua
udhar sitam ko shikayat ki qadr-dan na mila

labon ko nutq ka eajaz to mila 'taban'
magar sukut ka pairaya-e-bayan na mila


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+