Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Rabbani Taban

  • Ghazal


ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai


ye hujūm-e-rasm-o-rah duniyā kī pābandī bhī hai
ġhāliban kuchh shaiḳh ko zom-e-ḳhirad-mandī bhī hai

bijliyoñ se sāzisheñ bhī kar rahā hai bāġhbāñ
ham chaman vāloñ ko hukm-e-āshiyāñ-bandī bhī hai

hazrat-e-dil ko ḳhudā rakkhe vahī haiñ shorisheñ
dard-e-mahrūmī bhī soz-e-ārzūmandī bhī hai

mai-kade kī istelāhoñ meñ bahut kuchh kah ga.e
varna is mahfil meñ dastūr-e-zabāñ-bandī bhī hai

us ke jalvoñ kī fusūñ-sāzī musallam hai magar
kuchh nigāh-e-shauq kī is meñ hunar-mandī bhī hai

us ne 'tābāñ' kar diyā āzād ye kah kar ki jā
terī āzādī meñ ik shān-e-nazar-bandī bhī hai

ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai
ghaaliban kuchh shaiKH ko zom-e-KHirad-mandi bhi hai

bijliyon se sazishen bhi kar raha hai baghban
hum chaman walon ko hukm-e-ashiyan-bandi bhi hai

hazrat-e-dil ko KHuda rakkhe wahi hain shorishen
dard-e-mahrumi bhi soz-e-arzumandi bhi hai

mai-kade ki istelahon mein bahut kuchh kah gae
warna is mahfil mein dastur-e-zaban-bandi bhi hai

us ke jalwon ki fusun-sazi musallam hai magar
kuchh nigah-e-shauq ki is mein hunar-mandi bhi hai

us ne 'taban' kar diya aazad ye kah kar ki ja
teri aazadi mein ek shan-e-nazar-bandi bhi hai

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai Nomaan Shauque

Leave a comment

+