Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mustafa Faraz

  • Ghazal


ek zamane mein jab hum tum donon hi joshile the


ek zamāne meñ jab ham tum donoñ hī joshīle the
is duniyā ke saare mausam ThanDe the barfīle the

dekhne vaale māl-o-zar kyā jaan luTāyā karte the
ḳhadd-o-ḳhāl badan ke kitne mahñge the ḳharchīle the

sāmne us ke jaate the to mohr-ba-lab rah jaate the
bāhar se ham shoḳh bahut the andar se sharmīle the

qismat kā ye khel bhī dekho khel kī jab tak umr rahī
kūza-gar ke chaak se utre saare khilaune giile the

phuul sī bāteñ phuul sā lahja phuul se lab the phuul se gaal
lekin shāḳh-e-badan ke saare ḳhaar bahut nokīle the

un āñkhoñ meñ sahrā kī ab ret chamaktī rahtī hai
un āñkhoñ meñ jin āñkhoñ ke ḳhvāb bahut chamkīle the

ek zamane mein jab hum tum donon hi joshile the
is duniya ke sare mausam ThanDe the barfile the

dekhne wale mal-o-zar kya jaan luTaya karte the
KHadd-o-KHal badan ke kitne mahnge the KHarchile the

samne us ke jate the to mohr-ba-lab rah jate the
bahar se hum shoKH bahut the andar se sharmile the

qismat ka ye khel bhi dekho khel ki jab tak umr rahi
kuza-gar ke chaak se utre sare khilaune gile the

phul si baaten phul sa lahja phul se lab the phul se gal
lekin shaKH-e-badan ke sare KHar bahut nokile the

un aankhon mein sahra ki ab ret chamakti rahti hai
un aankhon mein jin aankhon ke KHwab bahut chamkile the


Leave a comment

+