Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Hameed

  • Ghazal


musalsal ek hi taswir chashm-e-tar mein rahi


musalsal ek hī tasvīr chashm-e-tar meñ rahī
charāġh bujh bhī gayā raushnī safar meñ rahī

rah-e-hayāt kī har kashmakash pe bhārī hai
vo bekalī jo tire ahd-e-muḳhtasar meñ rahī

ḳhushī ke daur to mehmāñ the aate jaate rahe
udāsī thī ki hamesha hamāre ghar meñ rahī

hamāre naam kī haqdār kis tarah Thahre
vo zindagī jo musalsal tire asar meñ rahī

na.ī uḌaan kā rasta dikhā rahī hai hameñ
vo gard pichhle safar kī jo bāl-o-par meñ rahī

musalsal ek hi taswir chashm-e-tar mein rahi
charagh bujh bhi gaya raushni safar mein rahi

rah-e-hayat ki har kashmakash pe bhaari hai
wo bekali jo tere ahd-e-muKHtasar mein rahi

KHushi ke daur to mehman the aate jate rahe
udasi thi ki hamesha hamare ghar mein rahi

hamare nam ki haqdar kis tarah Thahre
wo zindagi jo musalsal tere asar mein rahi

nai uDan ka rasta dikha rahi hai hamein
wo gard pichhle safar ki jo baal-o-par mein rahi


Leave a comment

+