hisār-e-jism mirā toḌ-phoḌ Dālegā
zarūr koī mujhe qaid se chhuḌā legā
banā ke jis ne mujhe shāhkār pesh kiyā
hazār ḳhāmiyāñ mujh meñ vahī nikālegā
maiñ apnī jaan hathelī pe rakh ke chaltā huuñ
koī bahut se bahut mujh se aur kyā legā
ruke hue haiñ ka.ī kārvāñ lab-e-dariyā
ki jaise aage koī rāsta nikālegā
ik ajnabī ke lahū par thā sab kā haq 'rāhī'
sunā hai shahr kā har shaḳhs ḳhūñ-bahā legā
hisar-e-jism mera toD-phoD Dalega
zarur koi mujhe qaid se chhuDa lega
bana ke jis ne mujhe shahkar pesh kiya
hazar KHamiyan mujh mein wahi nikalega
main apni jaan hatheli pe rakh ke chalta hun
koi bahut se bahut mujh se aur kya lega
ruke hue hain kai karwan lab-e-dariya
ki jaise aage koi rasta nikalega
ek ajnabi ke lahu par tha sab ka haq 'rahi'
suna hai shahr ka har shaKHs KHun-baha lega
Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 20) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012
Leave a comment