Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


rakhta nahin hai dasht sarokar aab se


rakhtā nahīñ hai dasht sarokār aab se
bahlā.e jaate haiñ yahāñ pyāse sarāb se

din meñ bhī ghar ujāle se mahrūm hai to hai
kirnoñ kā kyā savāl karūñ āftāb se

bilkul durust hote hue fail ho gayā
maiñ ne javāb naql kiyā thā kitāb se

vo saal ho ki maah ho din ho ki ho ghaḌī
baaqī nahīñ bachūñgā kisī ke hisāb se

har shai par ik uchaTtī nazar Dāltā chalūñ
be-kār hogā merā utarnā rikāb se

tarmīm hazf aur izāfe ke saath saath
ye kulliyāt pur hai mire intiḳhāb se

rakhta nahin hai dasht sarokar aab se
bahlae jate hain yahan pyase sarab se

din mein bhi ghar ujale se mahrum hai to hai
kirnon ka kya sawal karun aaftab se

bilkul durust hote hue fail ho gaya
main ne jawab naql kiya tha kitab se

wo sal ho ki mah ho din ho ki ho ghaDi
baqi nahin bachunga kisi ke hisab se

har shai par ek uchaTti nazar Dalta chalun
be-kar hoga mera utarna rikab se

tarmim hazf aur izafe ke sath sath
ye kulliyat pur hai mere intiKHab se


Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 443) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+