raah se mujh ko haTā kar le gayā
jaan kā ḳhatra batā kar le gayā
kaT mirā ik shaḳhs apnī aan par
aur apnā sar uThā kar le gayā
ek din dariyā makānoñ meñ ghusā
aur dīvāreñ uThā kar le gayā
haath sūraj ke na jab aa.ī nadī
aag paanī meñ lagā kar le gayā
uḌtī chiñgārī ko jugnū jaan kar
tifl dāman meñ chhupā kar le gayā
muddatoñ kāñTe bichhā.e raah meñ
ek din āñkheñ bichhā kar le gayā
rah se mujh ko haTa kar le gaya
jaan ka KHatra bata kar le gaya
kaT mera ek shaKHs apni aan par
aur apna sar uTha kar le gaya
ek din dariya makanon mein ghusa
aur diwaren uTha kar le gaya
hath suraj ke na jab aai nadi
aag pani mein laga kar le gaya
uDti chingari ko jugnu jaan kar
tifl daman mein chhupa kar le gaya
muddaton kanTe bichhae rah mein
ek din aankhen bichha kar le gaya
Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 129) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012
Leave a comment