mere lab tak jo na aa.ī vo duā kaisī thī
jaane is raah meñ marzi-e-ḳhudā kaisī thī
jis ko hañgāma-e-hastī ne ubharne na diyā
jis ko ham sun nahīñ paa.e vo sadā kaisī thī
merā ā.īna-e-ehsās shikasta thā agar
sūrat-e-hāl mirī tū hī batā kaisī thī
ab jo āzād hue haiñ to ḳhayāl aayā hai
ki hameñ qaid bhalī thī to sazā kaisī thī
lahlahātā thā mire dil kā ilāqa 'rāhī'
jaane us vaqt yahāñ āb-o-havā kaisī thī
mere lab tak jo na aai wo dua kaisi thi
jaane is rah mein marzi-e-KHuda kaisi thi
jis ko hangama-e-hasti ne ubharne na diya
jis ko hum sun nahin pae wo sada kaisi thi
mera aaina-e-ehsas shikasta tha agar
surat-e-haal meri tu hi bata kaisi thi
ab jo aazad hue hain to KHayal aaya hai
ki hamein qaid bhali thi to saza kaisi thi
lahlahata tha mere dil ka ilaqa 'rahi'
jaane us waqt yahan aab-o-hawa kaisi thi
Leave a comment