Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Murtaza Rahi

  • Ghazal


faraKH-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai


farāḳh-dast kā ye husn-e-tañg-dastī hai
jo ek buuñd kī mānind bahr-e-hastī hai

vo jis ko nāpiye to Thahartī nahīñ hai kahīñ
isī zamīn pe kul kā.enāt bastī hai

ghaTā to jhuum ke aatī hai aa.e din lekin
jahāñ barasnā ho kam kam vahāñ barastī hai

zamīn kartī hai mujh ko ishāra-e-parvāz
mirī tamām bulandī rahīn-e-pastī hai

ab aur der na kar hashr barpā karne meñ
mirī nazar tire dīdār ko tarastī hai

jo gird-o-pesh se maiñ be-niyāz huuñ 'rāhī'
isī meñ hosh hai mirā isī meñ mastī hai

faraKH-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai
jo ek bund ki manind bahr-e-hasti hai

wo jis ko napiye to Thaharti nahin hai kahin
isi zamin pe kul kaenat basti hai

ghaTa to jhum ke aati hai aae din lekin
jahan barasna ho kam kam wahan barasti hai

zamin karti hai mujh ko ishaara-e-parwaz
meri tamam bulandi rahin-e-pasti hai

ab aur der na kar hashr barpa karne mein
meri nazar tere didar ko tarasti hai

jo gird-o-pesh se main be-niyaz hun 'rahi'
isi mein hosh hai mera isi mein masti hai


Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 465) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+