mirī sifāt kā jab us ne e'tirāf kiyā
bajā.e chehra ke ā.īna maiñ ne saaf kiyā
chhupā thā hiirā koī rāste ke patthar meñ
hamārī Thokaroñ ne is kā inkishāf kiyā
muvāfaqat meñ chalī thī mire safīne kī
havā ne biich samundar meñ iḳhtilāf kiyā
guhar banā ke sadaf ne use nikālā hai
kabhī jo buuñd ne dariyā se inhirāf kiyā
zamīn ghūmtī hai jaise apne mehvar par
ḳhud apnī zaat kā maiñ ne yuuñ hī tavāf kiyā
meri sifat ka jab us ne e'tiraf kiya
bajae chehra ke aaina main ne saf kiya
chhupa tha hira koi raste ke patthar mein
hamari Thokaron ne is ka inkishaf kiya
muwafaqat mein chali thi mere safine ki
hawa ne bich samundar mein iKHtilaf kiya
guhar bana ke sadaf ne use nikala hai
kabhi jo bund ne dariya se inhiraf kiya
zamin ghumti hai jaise apne mehwar par
KHud apni zat ka main ne yun hi tawaf kiya
Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 262) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012
Leave a comment