barq kā Thiik agar nishāna ho
band kaahe ko kārḳhāna ho
dekhne sunñe kā maza jab hai
kuchh haqīqat ho kuchh fasāna ho
maut har vaqt aanā chāhtī hai
koī hiila koī bahāna ho
raah se sañg-o-ḳhisht haT jaa.eñ
nekiyoñ kā agar zamāna ho
mujh ko ḳhvāb-o-ḳhayāl hai manzil
qāfila shauq se ravāna ho
kyā ta.ajjub ki pīchhe pīchhe mire
aane vaalā mirā zamāna ho
barq ka Thik agar nishana ho
band kahe ko karKHana ho
dekhne sunne ka maza jab hai
kuchh haqiqat ho kuchh fasana ho
maut har waqt aana chahti hai
koi hila koi bahana ho
rah se sang-o-KHisht haT jaen
nekiyon ka agar zamana ho
mujh ko KHwab-o-KHayal hai manzil
qafila shauq se rawana ho
kya tajjub ki pichhe pichhe mere
aane wala mera zamana ho
Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 231) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012
Leave a comment