Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Hameed

  • Ghazal


hamein KHabar thi bachane ka usMein yara nahin


hameñ ḳhabar thī bachāne kā us meñ yaarā nahīñ
so ham bhī Duub ga.e aur use pukārā nahīñ

ḳhud āftāb mirī raah kā charāġh bane
magar ye baat mire chāñd ko gavārā nahīñ

jo us meñ utrī to tūfān hī mileñge mujhe
maiñ jāntī huuñ ki vo mauj hai kinārā nahīñ

ajab fazā hai ki rañg-e-numūd-e-sub.h bhī hai
siyāh raat ne bhī pairahan utārā nahīñ

vajūd jis ko kisī mo'tabar shajar ne diyā
havā kī zad meñ bhī tinkā vo be-sahārā nahīñ

jalegā ḳhud bhī sahar tak mujhe bhī lau degā
charāġh-e-shām koī baḳht kā sitārā nahīñ

hamein KHabar thi bachane ka us mein yara nahin
so hum bhi Dub gae aur use pukara nahin

KHud aaftab meri rah ka charagh bane
magar ye baat mere chand ko gawara nahin

jo us mein utri to tufan hi milenge mujhe
main jaanti hun ki wo mauj hai kinara nahin

ajab faza hai ki rang-e-numud-e-subh bhi hai
siyah raat ne bhi pairahan utara nahin

wajud jis ko kisi mo'tabar shajar ne diya
hawa ki zad mein bhi tinka wo be-sahaara nahin

jalega KHud bhi sahar tak mujhe bhi lau dega
charagh-e-sham koi baKHt ka sitara nahin


Leave a comment

+