Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka


siina madfan ban jaatā hai jiite jāgte rāzoñ kā
jāñchnā zaḳhmoñ kī gahrā.ī kaam nahīñ andāzoñ kā

saarī chābiyāñ mere havāle kiiñ aur us ne itnā kahā
āThoñ pahar hifāzat karnā shahr hai nau darvāzoñ kā

sāmne kī āvāz se mere har ik rābte meñ haa.il
daa.eñ baa.eñ phailā lashkar anjānī āvāzoñ kā

āñkheñ aage baḌhnā chāheñ pīchhe rah jaatī hai nazar
palkoñ kī jhālar pe numāyāñ kaam sitāra-sāzoñ kā

yuuñ to ek zamāna guzrā dil-dariyā ko ḳhushk hue
phir bhī kisī ne surāġh na paayā Duube hue jahāzoñ kā

sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka
jaanchna zaKHmon ki gahrai kaam nahin andazon ka

sari chabiyan mere hawale kin aur us ne itna kaha
aaThon pahar hifazat karna shahr hai nau darwazon ka

samne ki aawaz se mere har ek rabte mein hail
daen baen phaila lashkar anjaani aawazon ka

aankhen aage baDhna chahen pichhe rah jati hai nazar
palkon ki jhaalar pe numayan kaam sitara-sazon ka

yun to ek zamana guzra dil-dariya ko KHushk hue
phir bhi kisi ne suragh na paya Dube hue jahazon ka


Leave a comment

+