akelā din hai koī aur na tanhā raat hotī hai
maiñ jis pal se guzartā huuñ mohabbat saath hotī hai
tirī āvāz ko is shahr kī lahreñ tarastī haiñ
ġhalat number milātā huuñ to pahroñ baat hotī hai
saroñ par ḳhauf-e-rusvā.ī kī chādar taan lete ho
tumhāre vāste rañgoñ kī jab barsāt hotī hai
kahīñ chiḌiyāñ chahaktī haiñ kahīñ kaliyāñ chaTaktī haiñ
magar mere makāñ se āsmāñ tak raat hotī hai
kise ābād samjhūñ kis kā shahr-āshob likhūñ maiñ
jahāñ shahroñ kī yaksāñ sūrat-e-hālāt hotī hai
akela din hai koi aur na tanha raat hoti hai
main jis pal se guzarta hun mohabbat sath hoti hai
teri aawaz ko is shahr ki lahren tarasti hain
ghalat number milata hun to pahron baat hoti hai
saron par KHauf-e-ruswai ki chadar tan lete ho
tumhaare waste rangon ki jab barsat hoti hai
kahin chiDiyan chahakti hain kahin kaliyan chaTakti hain
magar mere makan se aasman tak raat hoti hai
kise aabaad samjhun kis ka shahr-ashob likhun main
jahan shahron ki yaksan surat-e-haalat hoti hai
Leave a comment