Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


aks ki surat dikha kar aap ka sani mujhe


aks kī sūrat dikhā kar aap kā saanī mujhe
saath apne le gayā bahtā huā paanī mujhe

maiñ badan ko dard ke malbūs pahnātā rahā
ruuh tak phailī huī miltī hai uryānī mujhe

is tarah qaht-e-havā kī zad meñ hai merā vajūd
āñdhiyāñ pahchān letī haiñ ba-āsānī mujhe

baḌh gayā is rut meñ shāyad nik.hatoñ kā e'tibār
din ke āñgan meñ lubhā.e raat kī raanī mujhe

munjamid sajdoñ kī yaḳh-basta munājātoñ kī ḳhair
aag ke nazdīk le aa.ī hai peshānī mujhe

aks ki surat dikha kar aap ka sani mujhe
sath apne le gaya bahta hua pani mujhe

main badan ko dard ke malbus pahnata raha
ruh tak phaili hui milti hai uryani mujhe

is tarah qaht-e-hawa ki zad mein hai mera wajud
aandhiyan pahchan leti hain ba-asani mujhe

baDh gaya is rut mein shayad nikhaton ka e'tibar
din ke aangan mein lubhae raat ki rani mujhe

munjamid sajdon ki yaKH-basta munajaton ki KHair
aag ke nazdik le aai hai peshani mujhe


Leave a comment

+