Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


har ek pal ki udasi ko jaanta hai to aa


har ek pal kī udāsī ko jāntā hai to aa
mire vajūd ko tū dil se māntā hai to aa

vafā ke shahr meñ ab log jhuuT bolte haiñ
tū aa rahā hai magar sach ko māntā hai to aa

mire diye ne añdhere se dostī kar lī
mujhe tū apne ujāle meñ jāntā hai to aa

hayāt sirf tire motiyoñ kā naam nahīñ
diloñ kī bikhrī huī ḳhaak chhantā hai to aa

tū mere gaañv ke hisse kī chhāñv bhī le jā
magar badan pe kabhī dhuup tāntā hai to aa

har ek pal ki udasi ko jaanta hai to aa
mere wajud ko tu dil se manta hai to aa

wafa ke shahr mein ab log jhuT bolte hain
tu aa raha hai magar sach ko manta hai to aa

mere diye ne andhere se dosti kar li
mujhe tu apne ujale mein jaanta hai to aa

hayat sirf tere motiyon ka nam nahin
dilon ki bikhri hui KHak chhanta hai to aa

tu mere ganw ke hisse ki chhanw bhi le ja
magar badan pe kabhi dhup tanta hai to aa

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Ghulam Mohammad Qasir

Leave a comment

+